*_🌙 Aaj ki Raat ke liye Khaas Duaa🌷_*
💚صَلَّــیٰ اللّٰهُ عَـلَــیٰ مُـحَمَّــدْ💚
💚صَـلَّى اللہُ عَلَيْـهِ وَآلِـهِ وَسَـلَّـمَ💚
*#Life partner ke liye*
❤️ Ya ALLAH, mujhe aur mere hamsafar ke darmiyan mohabbat, rehmat aur barkat mein izafa farma aur hamesha ke liye mehfooz rakh
❤️ Ya ALLAH, hamare darmiyan ikhlaaq ko behtar farma
❤️ Ya ALLAH, mere life partner ko unki mehnat ka behtareen ajar ata farma
❤️ Ya ALLAH, Qur'an aur tere ahkaam ko hamare liye har faislay ka miyar bana dein
❤️ Ya ALLAH, humein mil kar deen par amal karne ki himmat aur
istiqamat dein
❤️ Ya ALLAH, humein Jannat ul Firdous mein khushi ke saath ikattha farma
❤️ Ya ALLAH, humein jismani aur jazbaati quwwat dein ke hum ache walidain ban sakein aur apne bachon ke liye behtareen misaal ban sakein
❤️ Ya ALLAH, hamein un logon mein shamil farma jo namaz qaim karte hain aur sirf Tujh ko sajda karte hain
❤️ Ya ALLAH, hamare bachcho ko aur hamari naslon ko Huzoorﷺ ka Sachcha pakka Aashiq bana aur Huzoorﷺ ki Namoos ka pehredaar bana
❤️ Ya ALLAH, unhein hamare liye Jannat ka sabab bana aur dozakh se hifazat ka zariya bana
❤️ Ya ALLAH, mujhe aur meri poori family ko dozakh ki aag se bacha aur humein Jannat ul Firdous Alaa mein bina hisaab ke daakhil farma
*اٰمِیْنْ بِجَاہِ النَّبِیِّ الْاَمِیْنﷺ
#🕋બેસ્ટ ઈસ્લામિક સ્ટેટ્સ☪️ #🤲ઈસ્લામિક ધર્મ🕌 #🕌ઈસ્લામિક પવિત્ર સ્થળ #🌙રમઝાનનો ઇતિહાસ🕌 #🕌રમઝાન સ્ટેટ્સ