> Dil se Ameen bolein 🤲🏻✨👇
*Ya Allah!*🌷✨
Jin logon ne hum se dua ki darkhwast ki,
Aur jo dil hi dil mein dua ke muhtaj hain magar keh nahi paate,
To un sab ki duayein apni bargah mein qabool farma. 🤲
*Ya Allah!*🌷✨
Jo bimar hain unhein kamil shifa ata farma,
Jo pareshan hain un ki pareshaniyan door farma,
Jo maqrooz hain un ke qarz ada farma.🤲🏻
Ya Allah!
Jo be-aulad hain unhein naik aulad ata farma,
Jo aulad ki fikr mein hain un ki aulad ki hifazat farma,
Jo imtihano mein hain unhein kamyabi ata farma.🤲🏻
*Ya Allah!*🌷✨
Jo rozgar ki talash mein hain unhein halal aur ba-izzat rizq ata farma,
Jo be-sukoon hain un ke dilon ko sukoon ata farma,
Jo gunahon mein phans chuke hain unhein sachi tauba ki taufiq ata farma.🤲🏻
*Ya Allah!*🌷✨
Hamare maan baap par reham farma,
Zinda hain to sehat-o-afiyat ata farma,
Aur agar duniya se ja chuke hain to un ki qabron ko jannat ke baagh bana de.
Ya Allah!
Hum sab ka khatima iman par farma,
Humein apne qurb, apni mohabbat aur apni raza ata farma.🤲🏻
> Ameen Ya Rabb-ul-Aalameen 🤍🤲🏻✨🌷
*Share as saddaqah e jarriya kiya pata kise ko yah đuỗn ke Zarurth hun.* #📒میری ڈائری #👨🏻🏫لوگوں کے لئے سیکھ🧑🤝🧑 #📝میرے خیالات #💐 آداب 👐 #☪️تلاوت قرآن📖