फॉलो करें
ruhi
@296184901
1,612
पोस्ट
3,878
फॉलोअर्स
ruhi
673 ने देखा
## Allah hu akbar Khauf-e-Khuda hai dil mein to fakhr-e-zameen ho tum Khauf-e-Khuda nahin to kahin ke nahin ho tum
ruhi
807 ने देखा
## Allah hu akbar “Us din se daro jis din tum sab Allah ki taraf lautaye jaoge.” “Agar tum woh jaan lo jo main jaanta hoon, to tum kam hanso aur bahut zyada ro-o.” Ae Insaan!ya ke dhokay mein mat pad. Allah se dar, taqwa ikhtiyar kar. Ek din aayega jab teri aankhein band hongi, zaban khamosh hogi, aur rooh apne Rab ke samne khadi hogi. Aaj tu muskurata hai, chalta phirta hai, khata peeta hai— magar jald hi tujhe us din ka saamna karna hoga jahan na maal kaam aayega, na aulaad, na taqat, na sifarish— sirf taqwa, sirf imaan, sirf aamaal. Qabr ki tanhai… Andhera… Munkar-Nakeer ke sawaal… Pul-e-siraat ki bareeki… Hashr ka khauf… Jahannum ki aag… Aur Allah ka jalal— ye sab sach hai. Jis dil mein Allah ka khauf aa gaya: • zaban gunah se bachti hai • aankh haraam se phir jaati hai • dil se kibr aur hasad nikal jata hai • haath zulm se ruk jate hain • qadam gunah se door ho jate hain Taqwa yahi hai: Tanhaai mein bhi Allah ko dekh kar jeena.
ruhi
761 ने देखा
## Allah hu akbar *नरमी से बोलना भी एक हुस्न है और एहतराम से पेश आना बड़ी कशीश।* *दिल आपको देखकर नहीं आपके अख़लाक़ को देखकर फिदा होते हैं!!* ✅️✅️✅️✅️✅️✅️✅️✅️✅️✅️✅️✅️
ruhi
1.2K ने देखा
## Allah hu akbar *Ibn-ul-Qayyim رحمه الله farmate hain:* *“Ek banda Allah ke samne do martaba khara hota hai:* *Pehli martaba namaz mein* *Doosri martaba Qiyamat ke din* *Jo shakhs pehli martaba (namaz mein) theek tareeqe se khada ho gaya,* *us ke liye doosri martaba* *(Qiyamat ka khara hona) aasaan kar diya jata hai.”*
ruhi
849 ने देखा
## Allah hu akbar *Agar tum khush logon mein se ban na chahete ho* *to khushi ko shukar bana lo*, *gham ko sabar bana lo*, *khamoshi ko ghor o fikr bana lo* , *bat ko zikr bana lo* , *aur zindagi ko ita'at bana lo* >_"*Jab dil apne Rab se jud jate hain*,_ _*To dunia un ke liye* *khush'gawar ho jati hai*,_ _*Chahe woh gham se bhari* *kiyon na ho*.
ruhi
800 ने देखा
## Allah hu akbar *Woh dede toh Shukr Uska* *Na de toh Malal nahi* *Mere Rab 👑 ke Faisle be-misaal hai* *Un Faislo per Sawal nahi*
ruhi
1.1K ने देखा
## Allah hu akbar *Allah hamen ata karey* *Wo imaan. 🌷. Jis mein lazzat ho* *Wo Zaban 🌷 Jis mein ta'aseer ho* *Wo Aankh. 🌷 Jis mein haya ho* *Wo dil 🌷 jis mein Allah ka dar ho* *Wo seena. 🌷 jis mein Qur'an ho* *Wo chaal. 🌷 Jis mein Aajzi ho* *Wo zindagi 🌷 jis mein islam ho* *Wo Qabr. 🌷 Jis mein sukun ho* *Aur jannat mein wo makan jo* *صلى الله عليه وسلم* *Ke pados mein ho*💖
ruhi
2.5K ने देखा
## Allah hu akbar “Khwaahish sirf itni hai ke kuch alfaaz likh doon, jin se koi gumraahi ke raaste par jaate jaate ruk jaaye…* *Aur agar na bhi rukay, to soch mein zaroor pad jaaye…! `“Hidayat ka noor aksar unhi dilon mein utarta hai jo toot kar bhi Allah ki taraf rujoo rakhte hain. Bas ek sachchi soch, ek sachcha qadam… aur raaste badal jaate hain.”
See other profiles for amazing content