Tasveeron ki tarah agar zindagi par bhi filtar lagaya ja sakta, to shayad hum dard ko halka aur khushiyon ko gehra kar dete. Shayad har kami ko chhupa kar sirf muskurahat dikhate. Lekin sach yeh hai ke zindagi bina filtar ke hi asli hoti hai. Jo aansu hain, wahi insaan ko narm banate hain; jo daag hain, wahi kahani ban jaate hain.Roohani haqeeqat yeh hai ke zindagi ko khoobsurat banane ke liye filtar nahi, nazar ka badalna zaroori hota hai. Jab soch saaf ho jaaye, to har manzar me hikmat aur rehmat nazar aane lagti hai.
🤍🌿🥀
Agar zindagi par filtar lag sakta, to aap kya badalte?
A Dard kam karta/karti 🤍
B Kuch bhi nahi, sab qubool
#❤️अस्सलामु अलैकुम