#shayri

S̸H̸A̸H̸ A̸B̸B̸A̸S̸ K̸A̸ZM̸I̸✍
1.9K views
1 months ago
TERA HONA HI ZAROORI HAI, mere hone mein kya rakha hai, WAFA KO AMAL SE SABIT KAR, faqat rone mein kya rakha hai. #shyri ##shayri #Shayari #❣️💘shayri💘❣️ #Shayri.Dil.Se
S̸H̸A̸H̸ A̸B̸B̸A̸S̸ K̸A̸ZM̸I̸✍
1.2K views
1 months ago
Hum ne har ek zakhm ko apna nishaan samjha, Jinhe raaz diya, unhe apni jaan samjha. Kazmi, ab khuli hai aankh toh pata chala, Ki jinhein humne humsafar, unhein gaddar-e-bayaan samjha. Nafrat ke bahaane woh mohabbat jatate rahe, Hum naadaan the jo unke fareb mein aate rahe. Kazmi, ab rasta badal liya hai hum ne bhi, Woh toh apni fitrat se baaz na aate rahe. Samajh toh gaye hain ab hum unki har chaal ko, Khaamoshi se dekha hai unke badalte haal ko. Kazmi, kya dard unhe bhi hoga kabhi is baat ka? Jab hum bayaan karenge unke diye har sawal ko. #shyri ##shayri #Shayari #❣️💘shayri💘❣️ #Shayri.Dil.Se
S̸H̸A̸H̸ A̸B̸B̸A̸S̸ K̸A̸ZM̸I̸✍
2.5K views
1 months ago
Log aksar wahi.dikhate hain jo woh asal mein nahi hote. Jinhe khud ki izzat ki fikr hoti hai, woh dusron ki izzat ucchal kar kabhi apne status ko buland nahi kar sakte. ##shayri #Shayari #❣️💘shayri💘❣️ #Shayri.Dil.Se #rani ki shayri
S̸H̸A̸H̸ A̸B̸B̸A̸S̸ K̸A̸ZM̸I̸✍
3.1K views
1 months ago
गमों की महफिल में कोई खुद को खोता है, कोई खुदा के दीदार में जागता और सोता है, सवाल तो बस इबादत की नीयत का है जनाब, कोई लफ्जों में, तो कोई दिल से रोता है। ##shayri #Shayari #❣️💘shayri💘❣️ #Shayri.Dil.Se #rani ki shayri