> Duniya ki chamak aksar humein apni taraf kheench leti hai,
*lekin haqeeqat yeh hai ke jo cheez aaj humare paas hai, kal shayad na ho.*
> Asal kamyabi un logo ki hoti hai jo apni zindagi ka maqsad sirf dunya ko nahin, balki akhirat ki taiyari ko banate hain.
*Agar hum thodi si mehnat Allah ki raza ke liye kardein, to Allah humein us se kahin zyada ata karta hai.*
> Isliye apne dil ko duniya se zyada akhirat se baandho—kyunke jo Allah ke liye uthta hai, woh kabhi neeche nahi girta.
وَمَا الْحَيَاةُ الدُّنْيَا فِي الْآخِرَةِ إِلَّا مَتَاعٌ🌷
*Aur duniya ki zindagi akhirat ke muqabale mein sirf ek thori si cheez hai.*
> Ya Allah! Mere dil ko dunya ke fitnon se mehfooz rakh, aur mujhe akhirat ki kamyabi paane walon mein shamil farma.
*Ameen ya rab’bul Alameen 🤲🏻*#duniya

