Kis bat ka manaye tiranga
Kis bat ka manaye tiranga?
Kis bat ka lahraye tiranga
Jaha "Nari" ka saman nhi
To Kis bat ka Gaye "Bharat mata ki Jay"
Kis bat ki manaye jaha ladko ka ijat sare aam utare jate hai,
Jaha rapists ko saja nhi mila hai,
Jaha Bharat mata ki jaye to bolte hai par us mata ka saman nhi karte hai,
Kaise Kahe "Hamara bharat mahan",
Agar Jo ho Raha hai is bat ke liye mahan hai to mujhe sak hota hai yesi mahanta aur nhi chahiye jaha ishtrio ko shurkhsa ke nam par Rakhsak hi bhakasak Bane hua hai,
Jaha Police, Neta sab baithe hai tamasa dekhne ke liye,
Jaha ishtrio ko gandi najaro se dekha jata hai ,
Kya yeh wahi desh jaha ishtrio ko Pooja jata tha,
Kya yeh wahi desh hai jaha ishtrio ka saman hua karta tha,
Kya yeh wahi desh hai jaha ishtri ke saman ke liye Mahabharata hogaya,
Kya yeh wahi desh hai, kaha gaye wah sanskar jis par ham gaurav karte hai, kya yeh wahi desh jis ke liye shahido ne apni kurbani di thi kya yahi dekhne ke liye boarder par hamare sena apne jan dete hai ???Kis bat ka kare Abhiman? Jab nhi hota ishtrio ka saman 😥😢😞😞😰
#✍🏻भारतीय संविधान📕 #//// बलात्कारियों को फांसी हो / /// #देश बचाओ देश बचाओ पूंजीपति ठेकेदारों, गुंडे, दंगलीयो,चोर, भ्रष्ट, बलात्कारी, लुटेरों, को भगाओ .. #mera bharat mahan #jay hind jay bharat

