Lailatul Qadr Ki Dua:
Hazrat Aisha R.A Se Riwayat Hai Maine Pucha Ya RasoolAllah(ﷺ) Agar Main Lailatul Qadr Paalun To Konsi Dua Parhun?
RasoolAllah(ﷺ) Ne Farmaya:
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
'Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul Afwa Fa'fu Anni
Ya Allah Tu Maaf Farmane Wala Hai, Maaf Karna Pasand Karta Hai, Lihaza Mujhe Maaf Farma.
#🤲آمین ثم آمین یارب العالمین 🤲