Shab-e-Barat rehmat, maghfirat aur taqdeer ki raat hai 🌙. Is mubarak raat Allah Ta'ala apne bandon ki taraf khas nazar-e-karam farmata hai, gunahon ko maaf karta hai aur aane wale saal ke faislay likhe jate hain🌸. Ye raat humein yaad dilati hai ke hum sachche dil se tauba karein, apne Rab se maafi maangein aur apni zindagi ko deen ke raaste par laane ka wada karein🤲🥹❤️. #🤲دعاء


