ShareChat
click to see wallet page
search
Apnon ko khone ke baad jo humen mahsoos hota hai , ye kavita wahi kahati hai . " Marne Ke Baad " Ho jaata hai sab - kuch khaak , armaa ho jaate han aab (paani) , nahi mil paata unka saath , man dhoondhta rah jaata hai unko unke marne je baad . Hone lagta hai akelepan ka ahasaas , lagta hai maano wo han yahi humaare paas , taraashti hai nazren unhen , unke hone ka karti han abhaas , man dhoondhta rah jaata hai unko unke marne ke baad . Kattaa nahi samay , aate han ajeeb khayalaat , aisa lage maano wo han yahin sakshaat , milne ko karta hai dil , chaahta hai unse karne ko baat , man ...... Badaltaa rahtaa hai mousam ka mijaaj , fark nahi padta abhi kal hai ya aaj , unke dukh me tadapte han din aur raat , man ...... Hote han bechain , karte han sirf unhin ki baat , aisa lagta hai ki punah mil jaata unka saath , unse kuch youn jude rahte han humaare jajbaat , man ...... Toot jaate han naate , man karta hai unhen bhoolne ka prayaas , par dil se nahi jaa paati hai unki yaad , kyonki hote hi han wo humaare liye itne khaas , man ...... Nahin rah jaati unse koi fariyaad , unke achche karmon par sadaa karte han naaj , unhi ke jaise bane , Ishwer se yahi karte han darkhwaast , man ...... Har pal hum hote han hataash , jinse tha lagaaw , wahi kar jaate han niraash , ho jaati han aankhe nam , dekhne lag jaati han unhen aas - paas , man ...... Naa aaye unpar koi sankat , vikat samay rahate the saath , unke hone se maano aati thi khushiyon ki sougaat , falte - foolte the hum , jab sar par hota tha unka haath , man ...... We jahaan jaayen rahe sadaa khush aur abaad , parmaatma ka hardum rahe unpar ashirwaad , salaamat rahen wo aglaa janam dhan - dhaany se ho paryaapt , man dhoondhta rah jaata hai unko unke marne ke baad . Made by Ashutosh Shukla . 🙏🙏( Mai ) Adhikaadhik shere karen , aur comment karke ke bataaiye ki kavita kaisi lagi ? 🙏🙏🙏 #मेरी कविता ##poem
मेरी कविता - ShareChat