> Zindagi ups aur downs se bhari hoti hai. Kabhi kabhi hum bina kisi wajah ke khush hotay hain, aur kabhi bina samjhay udaas, pareshan ho jatay hain ya ro bhi letay hain. Dard bohat bhaari mehsoos hota hai, jaise andar hi andar kuch toot raha ho. Un lamhon mein hum kisi se baat karna, apne jazbaat share karna chahtay hain, lekin Huamrey pass koi nhi hota .yaad rkhe humarey sath Hamesha Allah hain.
*liken Log aksar kehtay hain ke dard share karne se kam ho jata hai. Lekin aksar jab hum apna dukh bayaan kartay hain, to aur zyada hurt hotay hain, kyun ke hamaray jazbaat samjhay nahi jatay.*
> Hamdardi ke bajaye, humein judgement, comments,fun banaya jata hai aur kabhi kabhi tauheen ka samna karna parta hai.
*Yeh aik mukhlis guzarish hai agar koi apna masla aap se share karay aur aap uski madad na kar saktay hon, to kam az kam narmi se baat karein.Usay aur zyada dukh na dein.*
~~Isliye apna darad Allah se share karey aise logo a Share karey jo apko smjhe apko understand karey~
> Aap nahi jantay ke aap ka aik acha lafz usay apni mushkil se nikalnay ki umeed de sakta hai. Meharbani gham ko halka kar deti hai.
*Doosron ke sath waisa hi sulook karein jaisa aap apnay mushkil aur kamzor lamhon mein apnay liye chahte hain.*
> Ya Allah, hamaray dilon ko sukoon ata farma aur humein aik doosray ke liye meharban bana. Ameen.🤲🏻✨ #💐 آداب 👐 #📝میرے خیالات #☪️تلاوت قرآن📖 #👨🏻🏫لوگوں کے لئے سیکھ🧑🤝🧑 #📝روحانی مکتوبات☪️
![💐 آداب 👐 - AlAleem Online Islamic Academy lumhara dard cuu ' Aloh nahi hai, Se AAllah kisi par uski taqat] Ogjh nahi dalta zyada $& (Surah Al-Baqarah 2.286)| 0 9 Amiru n _ ALALEEM ISLAMIC ACADEMY AlAleem Online Islamic Academy lumhara dard cuu ' Aloh nahi hai, Se AAllah kisi par uski taqat] Ogjh nahi dalta zyada $& (Surah Al-Baqarah 2.286)| 0 9 Amiru n _ ALALEEM ISLAMIC ACADEMY - ShareChat 💐 آداب 👐 - AlAleem Online Islamic Academy lumhara dard cuu ' Aloh nahi hai, Se AAllah kisi par uski taqat] Ogjh nahi dalta zyada $& (Surah Al-Baqarah 2.286)| 0 9 Amiru n _ ALALEEM ISLAMIC ACADEMY AlAleem Online Islamic Academy lumhara dard cuu ' Aloh nahi hai, Se AAllah kisi par uski taqat] Ogjh nahi dalta zyada $& (Surah Al-Baqarah 2.286)| 0 9 Amiru n _ ALALEEM ISLAMIC ACADEMY - ShareChat](https://cdn4.sharechat.com/bd5223f_s1w/compressed_gm_40_img_460465_24909b65_1775626381574_sc.jpg?tenant=sc&referrer=pwa-sharechat-service&f=574_sc.jpg)

