## Allah hu akbar `Rozedaar ke liye do khushiyan`
*Rozedar ko do khushiyan haasil hain, ek to jab iftar karta hai to khush hota hai aur dusra jab Rab se mulaqat karega to roze ka sawab pakar khush hoga*
*(Sahih al-Bukhari, Kitab al-Saum, Hadith: 1904)*
## Allah hu akbar 🌹*Sab se Azeem Surah*🌹
*Muhammad ﷺ ne farmaya*
*Main tumhe Qur’an ki sab se azeem surah na sikha doon*
*Phir aap ﷺ ne Alhamdu lillahi Rabbil Aalameen (Surah Fatiha) padhi aur farmaya*
*Yeh Sab‘aa Masani aur Qur’an-e-Azeem hai jo mujhe diya gaya*
📖 (Sahih al-Bukhari, Hadith 4474)
## Allah hu akbar Khauf-e-Khuda hai dil mein to fakhr-e-zameen ho tum
Khauf-e-Khuda nahin to kahin ke nahin ho tum
## Allah hu akbar “Us din se daro jis din tum sab Allah ki taraf lautaye jaoge.”
“Agar tum woh jaan lo jo main jaanta hoon, to tum kam hanso aur bahut zyada ro-o.”
Ae Insaan!ya ke dhokay mein mat pad. Allah se dar, taqwa ikhtiyar kar.
Ek din aayega jab teri aankhein band hongi, zaban khamosh hogi, aur rooh apne Rab ke samne khadi hogi.
Aaj tu muskurata hai, chalta phirta hai, khata peeta hai—
magar jald hi tujhe us din ka saamna karna hoga jahan
na maal kaam aayega, na aulaad, na taqat, na sifarish—
sirf taqwa, sirf imaan, sirf aamaal.
Qabr ki tanhai…
Andhera…
Munkar-Nakeer ke sawaal…
Pul-e-siraat ki bareeki…
Hashr ka khauf…
Jahannum ki aag…
Aur Allah ka jalal—
ye sab sach hai.
Jis dil mein Allah ka khauf aa gaya:
• zaban gunah se bachti hai
• aankh haraam se phir jaati hai
• dil se kibr aur hasad nikal jata hai
• haath zulm se ruk jate hain
• qadam gunah se door ho jate hain
Taqwa yahi hai:
Tanhaai mein bhi Allah ko dekh kar jeena.
## Allah hu akbar *नरमी से बोलना भी एक हुस्न है और एहतराम से पेश आना बड़ी कशीश।*
*दिल आपको देखकर नहीं आपके अख़लाक़ को देखकर फिदा होते हैं!!*
✅️✅️✅️✅️✅️✅️✅️✅️✅️✅️✅️✅️
## Allah hu akbar *Ibn-ul-Qayyim رحمه الله farmate hain:*
*“Ek banda Allah ke samne do martaba khara hota hai:*
*Pehli martaba namaz mein*
*Doosri martaba Qiyamat ke din*
*Jo shakhs pehli martaba (namaz mein) theek tareeqe se khada ho gaya,*
*us ke liye doosri martaba* *(Qiyamat ka khara hona) aasaan kar diya jata hai.”*
## Allah hu akbar *Hazrat Bilal habshi the sayyad nhi the*
*Kale the safed nhi the*
*Ghulam the Aazad nhi the*
*Anpadh the Aalim nhi the*
*Lekin unke taqwe ka ye Aalam tha ke Aap Makka Mukarrama ki sarzameen par chalte aur qadmon ki ahat jannat mein sunayi deti thi*
🌷 *SUBHANALLAH*🌷
## Allah hu akbar *Agar tum khush logon mein se ban na chahete ho*
*to khushi ko shukar bana lo*, *gham ko sabar bana lo*,
*khamoshi ko ghor o fikr bana lo*
, *bat ko zikr bana lo*
, *aur zindagi ko ita'at bana lo*
>_"*Jab dil apne Rab se jud jate hain*,_
_*To dunia un ke liye* *khush'gawar ho jati hai*,_
_*Chahe woh gham se bhari* *kiyon na ho*.
## Allah hu akbar *Woh dede toh Shukr Uska*
*Na de toh Malal nahi*
*Mere Rab 👑 ke Faisle be-misaal hai*
*Un Faislo per Sawal nahi*













