Alvida Ramadan 🌙
Ya Allah 🤲
Agar is Ramadan mein
hamari ibadat kam reh gayi ho
toh apni rehmat se qubool farma.
Jo gunah humse jaankar hue
aur jo anjaane mein ho gaye…
sab ko maaf farma de.
Is Ramadan ko hamare liye
maghfirat aur najat ka zariya bana de.
Hamare walidain, ghar walon
aur doston par apni rehmat ka saya rakh.
Aur hume agla Ramadan bhi
imaan aur sehat ke saath naseeb farma.
Ameen 🤍
.Ramadan jaane wala hai…
Aur pata nahi agla Ramadan naseeb hoga ya nahi.
Aaj bhi waqt hai…
Allah se maafi maang lo,
dil se dua kar lo.
Ho sakta hai isi raat
Allah hamari tauba qubool kar le. 🤲
AmeenRamadan ke aakhri 5 din reh gaye hain… 🤲
Pata hi nahi chala kab ye barkaton wala mahina guzar gaya.
Ya Allah agar humse koi galti hui ho to hume maaf farma aur hamari iman ki hifazat farma. Ameen. 💔
In aakhri dinon ko zaya na karein… zyada se zyada dua, istighfar aur ibadat karein.
Shayad ye Ramadan hamara aakhri ho… Allah hum sab ko maaf farma de. Ameen..#🤲آمین ثم آمین یارب العالمین 🤲
.
.
#muslim #ramadan #ramzan #love #life