Kya hum firse dobara nhi mil sakte, Woh ek pal jo kabhi humara tha, usse dobara nhi jee sakte, Jab bina wajah muskuraana aata tha, Jab tere naam se dil dhadakta tha .. Teri hasi, meri khaamoshi, woh behes, woh baatein.. Sab adhoori si lagti hai ab.. Kya waqt ko hum thoda peeche nhi le jaa sakte.. Main maanta hun ki galti rahi hogi, ya shaayad.. Shayad humari qismat hi thak gayi hogi.. Par kya hum apni kaahani ko firse ek mauka nhi de sakte🍂✨ #broken