Ya Rasoolallah ﷺ ❤️
558 Posts • 791K views
Tala al Badru 'Alayna Min Thaniyati-al Wada__________💖 Wajaba Shukru 'Alayna Ma Da'a Lillahi Da __________🌹 Ayyuha-al Mab'uthu Feena Ji'ta bi-al Amrul Muta __________💗 Ji'ta Sharafta-al Madeenah Marhaban Ya Khaira da__________🌼 Solar Calendar Ke Hisab Se Aaj Aaj Hijrat E Madina Ko 1403 Saal Ho Gaye. 24 September 622 CE ko Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam, Maula Ali, Hazrat Abu Bakr Siddiq, aur Baaki Gharwalon aur Jaan Nisaron ke saath Madina Pak me Tashreef laaye! Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiAllahu Ta'ala Anhu ke saath Makkah Se Rawana Huwe they Magar Aapne Quba Mai Qayam Farmaya Imam Ali Alaihisalam Ke Makkah Se Aane Ke Baad Aap Sab Ke Saath Madina Tul Munawwarah Mai Tashreef Laaye,. Arabi tarikh thi 12 Rabi ul Awwal Shareef aur Hadis Mai Aata Hai Ke Madina me har jagah Huzoor Nabi E Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Ki Aamad Par Khushiyaan Manayi Jaa Rahi Thin, Celebrations ho rahe The Sab Log Madina Ke Darwaze Par Aapka Istqlaal Karne Aaye Huwe The Aur Tala Al Badru Alaina ke Nagme Gaa Rahe The , Khushiyon Ka Ye Aalam Tha Ke Kai Log Raqs Kar Rahe The, Huzoor Rehmat E Aalameen Ki Aamad Ki Khusi Mai Madina ka har Koi Jashn Mana raha Tha. 12 Rabi ul Awwal ko Jashn Manana Sahaba ki Sunnat hai, Chahe Eid E Milad Samajhke manaya Jaaye Yan Hijrat E Madina Samjhke Allahumma Salli Ala Sayyedina Mohammadi Nin Nabiyyi wa Azwajihi Ummahatul Mumineen wa Zurriyatihi wa Ahle Baytihi kama Sallaita Ala Ibrahima Innaka Hamidum Majeed.💞 . . . . Follow for More Chaudhary Abdul Aziz Rayeen #Ya Rasoolallah ﷺ ❤️ #🤲इस्लाम की प्यारी बातें #❤️अस्सलामु अलैकुम #labbaik ya rasoolallah #🤲अल्लाह हु अक़बर
35 likes
8 shares