ShareChat
click to see wallet page

Toh jaate jaate maine usse puchha kya hum kabhi kabhi baat nahi kar sakte? Usne kaha: Humara baat naa karna ab zaroori hai. Tera mujhse aur mera tujhse door rehna ab zaroori hai. Tera teri duniya mein wapas chale jaana ab zaroori hai. Mujhe meri nayi duniya banana ab zaroori hai. Jaisa main tujhe apni zindagi mein chahta hoon, waisa tu nahi. Isliye ab tu jaa. Main yahin rahunga, aur phir shayad sab sahi rahega. Kyun jo kuch beet chuka hai, usse ab zabardasti chalaana hai? Humara ishq ek phool tha, usko ab murjhaana hai. 🌸✨#💔 हार्ट ब्रेक स्टेटस

554 ने देखा