ShareChat
click to see wallet page

📖 Laylatul Qadr 📖 Laylatul Qadr ki raat hazaar mahino se bhi afzal hai, kyunki isi mubarak raat me Qur’an nazil hua. Is raat ki ek chhoti si neki bhi hazaar mahino ki ibadat se behtar hoti hai. Rasool Allah ﷺ ne farmaya ke Laylatul Qadr ko Ramzan ke aakhri ashre ki taaq raaton (21, 23, 25, 27, 29) me talash karo. 📖 (Sahih Bukhari 2017, Sahih Muslim 1169) Isliye jitni ho sake ibadat karein — namaz, dua, sadaqah aur Qur’an ki tilawat. Is amal me 4 rakat nafil namaz me Surah Ikhlas 50 martba padhne ka zikr aata hai. Agar 50 mushkil lage to 21, 15 ya 7 martba bhi padh sakte hain. Sabse behtareen dua: اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي Allahumma innaka ‘afuwwun tuhibbul ‘afwa fa’fu ‘anni. 📖 (Tirmidhi 3513) Allah hum sab ki ibadat qubool farmaye. 🤍 . . #🤲इस्लाम की प्यारी बातें #🕋❀◕❀मेरा प्यारा इस्लाम❀◕❀🕋 #🤲🏻इस्लामी समाज☪️ #🤲 इबादत #🌙इस्लाम धर्म🕌

986 ने देखा
1 दिन पहले