ShareChat
click to see wallet page
search
Jummah Tul Widaa Mubarak ❤️ 🌙 💫 🌹 Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu jo Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Khadim-e-Khaas they bayan karte hain ke Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Irshad farmaya: "Qayamat ke Roz tamam duniya me se tum me sabse zyada Mere Kareeb wo shakhs hoga, jo duniya me tum me sabse zyada Mujhpar Durood bhejne waala hoga pas jo shakhs Juma ke din aur Juma ki raat Mujhpar 100 martaba Durood bhejta hai, Allah Tabarak wa Ta'ala uski 100 haajaten puri farmata hai, unme se 70 Aakhirat ki haajato me se aur 30 duniya ki haajato me se hain." Bayheqi, Shobul Imaan, 3/81, Hadees no. 3035 Imam Maula Ali al Murtaza KarramAllahu Wajhahul Kareem se marfooan riwayat hai ke RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Irshad farmaya: "Mujhpar Salaam bheja karo beshaq tum jaha kahi bhi ho tumhara Salaam Mujhe pahunch jaata hai!" Ajolaani, Kashful khifa, 2/32, Hadees 1602 Assalato Wassalamo Alaika Ya Rasool Allah 👑 Assalato Wassalamo Alaika Ya Noor Allah 💖 Assalato Wassalamo Alaika Ya Nabi Allah 💓 Wa Ala Aalika wa Azwajika wa Zurriyatika wa Ahle Baytika wa Ashabika Ya Sayyedi Ya HabibAllah💞 SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam 💞 Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammad wa Ala Sayyedina Aliyyuw wa Sayyedatina Fatimah wa Sayyedatina Khadijah wa Sayyedatina Zaynab wa Sayyedina Hasan wa Sayyedina Hussain wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim. Allahumma Salli Ala Sayyedina Mohammadi Nin Nabiyyi wa Azwajihi Ummahatul Mumineen wa Zurriyatihi wa Ahle Baytihi kama Sallaita Ala Ibrahima Innaka Hamidum Majeed💞 Follow for More Chaudhary Abdul Aziz Rayeen #🤗रमजान स्पेशल😍🤝 #🕋जुम्मा मुबारक🤲 #🕌मस्जिद 🤲 #🤲 इबादत #🤲 दुआएं
🤗रमजान स्पेशल😍🤝 - ShareChat
00:50