"Maine Allah se uski shaan ke mutabiq maang liya hai. Na apni auqaat dekhi, na halaat. Ab Allah jaane aur meri duaen jaane. Woh jab deta hai, apni shaan ke saath deta hai." ❤️ Yaqeen rakho... Allah ko dene mein koi deri nahi lagti. Bas banda maangne wala hona chahiye. Hum apni auqaat dekh kar maangte hain. Aur Allah apni rehmat dekh kar deta hai. Jab duniya ke darwaze band ho jayen, Jab halaat khilaf ho jayen, Jab sab kehte hain "nahi ho sakta"... Tab keh do "Mere Allah ke liye sab mumkin hai" Kyunki woh Rab-ul-Alameen hai. Woh jab ata karta hai to dil khush ho jata hai. Woh jab nawazta hai to shaan se nawazta hai. Bas sabr rakho. Dua karte raho. Aur yaqeen rakhon ki jo tumhare liye likha hai, wo tum tak zarur pahunchega. 🤲 Allah hum sab ki duaon ko qubool farmaye. AMEEN - #🤲آمین ثم آمین یارب العالمین 🤲
11 shares

More like this