ShareChat
click to see wallet page

Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu 🌹Rajab ka Chand Mubarak🌹 Jab Rajab-ul-Murajjab ka mahina aata to Aaqa-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) yeh Du‘a farmaya karte the..💞 🥀Allahumma baarik lana fi Rajab wa Sha‘ban wa ballighna Ramadan}}} Tarjuma."Ai Allah! hamein Rajab aur Sha‘ban mein barkat ata farma aur hamein Ramadan tak pahuncha de.. Aameen Rajab ka Roza Gunaahon ka Kaffaara Hai Sultan-ul-Mufassireen Hazrat Abdullah bin Abbas (RaziAllahu Anhuma ) se riwayat hai ke be-chain dilon ke chain, Nabi-e-Haramain (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya.. Rajab ke pehle din ka roza 3 saal ke gunaahon ka kaffaara hai.." dusre din ka roza 2 saal ka،Aur teesre din ka roza 1 saal ka kaffaara hai.." Phir har agle din ka roza 1 mahine ka kaffaara hai۔Yani Rajab Shareef ke ye rozay gunaah-e-sagheera ki maafi ka zariya ban jate hain..❣️ (Jami‘ Sagheer, safha 311–312, Hadees: 5051) #🕋🕋🕋rajab ka mahina mubarak ho🕋🕋🕋

2.3K ने देखा
1 महीने पहले