ShareChat
click to see wallet page

#🕋 💞आशिक_ए_रसूल💞🕋 #हुजूर से मोहब्बत ♥️ #🌴💐Beshaq 🌲🌹 Mashallah 🌺💮 Subhanallah 💚💛🧡❤️ #🕌 मक्का मदीना 🤲 #hajj mubarak Ya Rabbana Irhamlana Tere ghar ke fere lagata rahu main Sadaa shehre Makkah me aata rahu main Haram main mai haazir huwa banke mujrim Yeh labbaik naraa lagata rahu main Main leta rahu bosa-e-sangey aswad Ke dil ki siyaahi mitata rahu main Illahi main phirta rahu girde kaaba yoon qismat ki gardish mitaata rahu main Main peeta rahu har ghadi aabe zam zam Lagi apne dil ki bujhata rahu main Safaa aur marwah ke maa bain daudu Sa’ee karke tujh ko manaata rahu main Rami kar ke jamraat ki main Mina mein Tere dushmano ko beechata rahu main Muzdalifa me waqte seher muskura kar Yeh sunnat Nabi ki bataata rahu main Jhuki jin ke sajde ko meh’rabe kaaba Wahi dil adab se jhukata rahu main Illahi tu aisa muqaddar banaade Humeshaa hi Makkey main aata rahu mai Tere ghar ke peyrey lagaah taa rahu main Sadaa shehre makkah me aata rahu main. Hai Sayyed ki khwaish Madine mein mar kar Humesha hi jannat ko paata rahu main

1.1K ने देखा
2 दिन पहले